ba-nāla hāsil-e-dil-bastagī farāham kar
دیوانِ غالب
Published 14 October 2026
ba-nāla hāsil-e-dil-bastagī farāham kar
matā-e-ḳhāna-e-zanjīr juz sadā mā'lūm
ba-qadr-e-hausla-e-ishq jalva-rezī hai
vagarna ḳhāna-e-ā.īna kī fazā mā'lūm
bahār dar-girau-e-ġhuncha shahr-e-jaulāñ hai
tilism-e-nāz ba-juz tañgī-e-qabā mā'lūm
tilism-e-ḳhāk kamīñ-gāh-e-yak-jahāñ saudā
ba-marg takiya-e-āsā.ish-e-fanā mā'lūm
takalluf ā.ina-e-do-jahāñ madārā hai
surāġh-e-yak-na-gah-e-qahr-āshnā mā'lūm
'asad' farefta-e-intiḳhāb-e-tarz-e-jafā
vagarna dilbarī-e-vāda-e-vafā mā'lūm
ba-nala hasil-e-dil-bastagi faraham kar
mata-e-KHana-e-zanjir juz sada ma'lum
ba-qadr-e-hausla-e-ishq jalwa-rezi hai
wagarna KHana-e-aina ki faza ma'lum
bahaar dar-girau-e-ghuncha shahr-e-jaulan hai
tilism-e-naz ba-juz tangi-e-qaba ma'lum
tilism-e-KHak kamin-gah-e-yak-jahan sauda
ba-marg takiya-e-asaish-e-fana ma'lum
takalluf aaina-e-do-jahan madara hai
suragh-e-yak-na-gah-e-qahr-ashna ma'lum
'asad' farefta-e-intiKHab-e-tarz-e-jafa
wagarna dilbari-e-wada-e-wafa ma'lum
About Mirza Ghalib (مرزا اسد اللہ خان غالب)
مرزا اسد اللہ خان غالب (1797 – 1869) مغلیہ دور کے آخری عظیم شاعر اور اردو غزل کے بلند ترین معمار مانے جاتے ہیں۔ ان کا دیوان اور خطوط اردو ادب کے شاہکار ہیں۔